Broken Heart Sad Poetry
Wednesday, 13 March 2013
Monday, 11 March 2013
GHAZAL SHAYARI
Samander Ke Safar Mein Is Tarha Awaz De Ham Ko
Hawain Teiz Hon Aur Kashtiyon Mein Shaam Ho Jaye
Mujhe Maloom Hai Us Ka Thikana Phir Kahan Ho Ga
Parinda Aasman Chuny Mein Jab Nakaam Ho Jaye
Ujale Apni Yadoon Ke Hamare Sath Rehne Do
Na Jany Kis Gali Mein Zindagi Ki Sham Ho Jaye… :(
Be Karan Tanhaiyon Ka Silsila Reh Jaye Ga,
Tere Mere Darmiyan, bas ek khala reh jaye ga
Aks beh jayen ge sare dhoop ke sailab mein
Aur koi paaniyon mein jhaankta reh jaye ga
Mujh ko mere hamsafar aisa safar dar_paish hai,
Rasta kat bhi gaya to fasla reh jaye ga
Loog soo jayen ge khamoshi ki chadar oorh kar
Chaand suny aangnon mein jagta reh jaye ga
Jo kabhi us ne parhin thin mujh se ‘nasir’ mang kar
Naam mera un kitabon mein likha reh jaye ga
Aaj Jagi Hui Yaadon Ko Sula De Saqi,
Mai Nahi Hai To Mujhe Zehar Pila De Saqi..
Tishnagi Bujh Na Sake Gi Mere Paimane Se,
Mere Honton Ko Surahi Se Laga De Saqi…
Taara-e-Ehsaas Ko Phir Cheer Zara Holay Se,
Aaj Ek Bhoola Hua Geet Suna De Saqi…
Majboor The Ham Apni Wafa Jitla Na Sake,
Khate Rahe Zakhm Dil Par, Kisi Ko Dikhla Na Sake!
Chahaton Ki Had Se Barh Kar Chaha Usey,
Sirf Apna Dil Nikal Kar Usey Dikha Na Sake!
Wo Jo Haal Tha Wohi Haal Hai, Kahon Kis Tarhan Naya Saal Hai
Wohi Zindagi Ke Wabaal Hai, Kahon Kis Tarhan Naya Saal Hai
Wohi Be Yaqeeni Hai Ku-Ba-Ku, Wohi Na Umeedi Hai Char Su,
Jo Bhi Hai Sarapa Sawal Hai, Kahon Kis Tarhan Naya Saal Hai
Wohi Dast-O-Paa Wohi Chashm-o-lab Jo Gehan Mein The, Wo Gehan Mein Hain
Wohi Husn Jis Pe Zawaal Hai, Kahon Kis Tarhan Naya Saal Hai
Wohi Inteshaar Ki Zindagi Hai, Wohi Ghubar Si Zindagi Hai,
Wohi Saans Lena Mohaal Hai, Kahon Kis Tarhan Naya Saal Hai
Wohi Phool Phool Pe Titliyan Hain, Dari Hui Ke Mari Hui
Wohi Be Hisi Jo Kamal Hai, Kahon Kis Tarhan Naya Saal Hai
Wohi Khuwab Hain Ke Azaab Hain, Wohi Rooz-O-Shab Ke Sarab Hain,
Wohi Gardish-E-Meh-O-Saal Hai, Kahon Kis Tarhan Naya Saal Hai
Jo Qismat Mein Na Ho Us Ka Gila Nahi Karte
Kuch Log To Mil Kar Bhi Mila Nahi Karte
Suna Hai Rooz Rooz Milne Se Mohabbat Kam Hoti Hai
Ye Soch Kar Hum Us Se Mila Nahi Karte
Aye Dil Tu Un Se Milne Ki Umeed Kion Karta Hai
Kuch Log To Umer Bhar Mila Nahi Karta
Wese To Aata Hai Har Shajar Pe Bahar Ka Mausam
Phi Rbhi Har Shaakh Pe Phool Khila Nahi Karte
Jab Wo Mila Tha To Us Se Rooh Ka Naata Jora Tha
Jab Rooh Sath Chor Jaye To Insaan Mila Nahi Karte....
Ajab Halaat The Yun Dil Ka Soda Ho Gaya Aakhir,
Mohabbat Ki Haveeli Jis Tarha Neelaam Ho Jaye
Samander Ke Safar Mein Is Tarha Awaz De Ham Ko
Hawain Teiz Hon Aur Kashtiyon Mein Shaam Ho Jaye
Mujhe Maloom Hai Us Ka Thikana Phir Kahan Ho Ga
Parinda Aasman Chuny Mein Jab Nakaam Ho Jaye
Ujale Apni Yadoon Ke Hamare Sath Rehne Do
Na Jany Kis Gali Mein Zindagi Ki Sham Ho Jaye… :(
Ab Wo Roothe To Use Manana Nahi Ja Kar
Seh Lein Ge Dukh Use Sunana Nahi Ja Kar
Laut Aaye Ga Zaroor Ager Wo Mera Hua
Aj Se Teh Hua Khud Bulana Nahi Ja Kar
Use Chaha Hai Use Chahte Rahein Gey
Us Ke Dil Mein Kia Hai Azamana Nahi Ja Kar
Mile To Barsa Dein Ge Apna Sab Kuch Us Pe
Nahi To Haal-E-Dil Bhi Batana Nahi Ja Kar
Chaand Nikle Kisi Janib Teri Zaibai Ka
Rang Badle Kisi Soorat Shab-e-Tanhai Ka
Dolat-e-Lab Se Phir Aye Khusru-E-Shireen Dhnaan
Aaj Arzaan Ho Koi Harf Shanasai Ka
Garmi-e-Rashk Se Har Anjuman-e-Gul Badnaam
Tazkarah Chairey Teri Perahan Aarai Ka
Sehan-e-Gulshan Me Kabhi Aye Sheh-e-Shamshaad Qadaan
Phir Nazar Aaye Saleeqa Teri Raanai Ka
Ik Baar Aur Maseeha-e-Dil-e-Dil Zadgaan
Koi Wada, Koi Iqraar Maseehai Ka
Deedah-o-Dil Ko Sanbhaloo Ke Sar-e-Shaam Faraq
Saaz-o-Saaman Baham Pohncha Hai Ruswai Ka
Wo Kehti Hai, Ke Khushiyon Mein Bhi Tum To Rony Lagte Ho
Mein Kehta Hun, Meri Aankhon Ko Sawan Acha Lagta Hai
Wo Boli, Tum Bhi Parhat Zindagi Se Rooth Jao Ge
Mein Bola, Han, Shayad Mout Mujh Se Maan Jaye Gi
Wo Boli, Tum Khushi Ke Geet Ko Mayoos Karte Ho
Mein Bola, Kia Karon In Mukhtasir Geeton Ka Mausam Hai
Wo Boli, Tum To Farhat Khud Hi Khud Se Haar Jate Ho
Mein Bola, Kia Karon Kamzoor Hun Aur Be Sahara Hun
Wo Boli, Kia Ye Sab Kuch Ittifaqan Hai Tumhara Gham
Mein Bola, Ye Bhi Mumkin Hai Ye Sab Ehtraman Ho
Tumhare khat mein naya ik salaam kis kaa tha?
Na tha raqib to aakhir wo naam kis ka thaa?
Wo qatal kar ke har kisi se poochtey hain
Ye kaam kis ne kiya hai? Ye kaam kis ka tha?
Wafa karenge nibhaaheinge baat maanein ge
Tumhein bhi yaad hai kuch ye kalam kis ka tha?
Rahaa na dil mein wo be-dard aur dard raha
Muqeem kon hua hai maqaam kis ka tha
Na pooch-gach thi kisi ki wahan na aao-bhagat
Tumhaari bazm mein kal ehtamaam kis kaa tha
Tamam bazm jise sun kar reh gai mushtaaq
Kaho wo tazkara na-tamaam kis ka tha?
Guzar gaya wo zamana, kahoon to kis se kahon
Khayal dil ko mere subh-o-shaam kis ka tha…?
Ye To Socha Bhi Nahi Tha Ke Wo Mar Jaye Ga
Chand Ik Qabar Ke Seene Me Utar Jaye Ga
Ye Jo Ik Khwab Sa Palkon Se Bandha Rakha Hai
Aankh Jhapko Ge To Daman Me Bikhar Jaye Ga
Hijar Ki Raig Rawan Saath Liye Phirti Hai
Is Kharabe Me Bhala Kon Kidar Jaye Ga
Husan Aur Ishq Ke Mabain Thani Hai Ab Ke
Is Laraii Mein Kisi Aik Ka Sar Jaye Ga
Tu Ne Dekha Hai Kuch Is Trha Ke Aey Soorat-E-Mah
Haath Dil Pe Na Rakha To Thehar Jaye Ga
Dekhna Aik Na Aik Din Tere Khushbu Ka Jamal
Dard Ki Trha Rag-E-Jan Mein Utar Jaye Ga
Ye Meri Umer Ka Sehra Mere Wajlon Ka Sarab
Sar Mazjgan Na Rahe Ga To Kidhar Jaye Ga
Tum Ne To Keh Diya Ke Mohabbat Nahi Mili
Mujh Ko To Ye Kehne Ki Bhi Mohlat Nahi Mili
Neendon Ko Dais Jate, Koi Khwab Dekhte
Lekin Diya Jalane Se Fursat Nahi Mili
Tujh Ko To Khair Shehar Ke Logon Ka Khoof Tha
Aur Mujh Ko Apne Ghar Se Ijazat Nahi Mili
Phir Ikhtilaaf-E-Raye Ki Soorat Nikal Pari
Apni Yahan Kisi Se Bhi Aadat Nahi Mili
Be-Raaz Yun Hue Ke Tere Ehad Mein Hamain
Sab Kuch Mila, Sakoon Ki Doolat Nahi Mili
Ahmed Faraz
Gar Mohabbat Mein Sadaqat Bhi Ho, Shiddat Bhi
Phir To Ehsaas Hai Pather Bhi Pighel Jate Hain
Us Ki Aankhon Ke Nashe Mein Hon Jab Se Dooba
Larkharate Hain Qadam Sanbhal Jate Hain
Bewafa Ka Jab Bhi Mujhe Khayal Aata Hai
Ashk-E-Aankhon Se Rukhsaar Bhi Pighel Jate Hain
Piyar Mein Aik Hi Mausam Hai Baharon Ka ‘Faraz’
Loog Mausam Ki Tarhan Kese Badal Jate Hain
Yun Hi Mausam Ki Ada Dekh Kar Yaad Aya Hai,
FARAZ
Kis Qadar Jaldh Badal Jaty Hain Insaan Janan…
Kisi Bewafa Ki Khatir Ye Janoon-e-Faraz Kab Tak?
Jo Tumhein Bhula Chuka Hai, Usy Tum Bhi Bhool Jao…
Yeh Mohabbat bhi hai kia Rog
'Faraz',
Jisko bhoolay wo sada yaad aaya...!
Kuch Mohabbat ka Nasha pehle ham ko Tha
Faraz
Milnay ki gharz ho to chalay aatay hain apnon ki tarha
'Faraz'
Dil bhar jaye to jawaab dena bhi gawaara nahi kartay...!!
♥ Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain ♥
So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain...
Suna hai rabt hai us ko kharaab halon se
So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain...
Suna hai dard ki gahak hain chashm-e nazuk us ki
So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain...
Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf
So ham bhi mojazay apnay hunar ke dekhte hain...
Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain...
Suna hai raat use chand takta rehta hai
Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain...
Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain...
Suna hai din ko usay titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhte hain...
Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki
Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain...
Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai
So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhte hain...
Suna hai us ke labon se gulab jalate hain
So ham bahar par ilzaam dhar ke dekhte hain...
Suna hai aaina tamasal hai jabin us ka
Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhte hain...
Suna hai jab se hamail hain us ki gardan main
Mizaj aur hi lal-o gauhar ke dekhte hain...
Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main
Palang zawaiya us ki kamar ke dekhte hain...
Suna hai us ke badan ke tarash aisay hain
Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhte hain...
Woh sarvqad hai magar begul-e muraad nahin
Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhte hain...
Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka
So rahravaan-e tamannaa bhi dar ke dekhte hain...
Suna hai us ke shabistan se mutasil hai behisht
Makin udhar ke bhi jalway idhar ke dekhte hain...
Rukay tu gardishain us ka tawaf karti hain
Chalay to us ko zamanay theher ke dekhte hain...
Kisay naseeb ke be parahan usay dekhay
Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke dekhte hain...
Kahaniyan hi sahi sab mubalaghay hi sahi
Agar woh khawb hai tabeer kar ke dekhte hain...
Ab us ke sheher main thehrain ke kooch kar jayan
Faraz aao sitaray safar ke dekhte hain....
Subscribe to:
Posts (Atom)