Monday, 11 March 2013

Ahmed Faraz

 

Us Se Milne Ko Kabhi Hum Jo Machal Jate Hain

To Khayalon Mein Bohat Door Nikal Jate Hain 

Gar Mohabbat Mein Sadaqat Bhi Ho, Shiddat Bhi

Phir To Ehsaas Hai Pather Bhi Pighel Jate Hain 

Us Ki Aankhon Ke Nashe Mein Hon Jab Se Dooba

Larkharate Hain Qadam Sanbhal Jate Hain  

Bewafa Ka Jab Bhi Mujhe Khayal Aata Hai

Ashk-E-Aankhon Se Rukhsaar Bhi Pighel Jate Hain 

Piyar Mein Aik Hi Mausam Hai Baharon Ka ‘Faraz’

Loog Mausam Ki Tarhan Kese Badal Jate Hain

 

 

 

 

Yun Hi Mausam Ki Ada Dekh Kar Yaad Aya Hai, 

 

FARAZ


Kis Qadar Jaldh Badal Jaty Hain Insaan Janan… 






Kisi Bewafa Ki Khatir Ye Janoon-e-Faraz Kab Tak?

 

Jo Tumhein Bhula Chuka Hai, Usy Tum Bhi Bhool Jao…

 

 

 

 

 

Yeh Mohabbat bhi hai kia Rog 

'Faraz',

Jisko bhoolay wo sada yaad aaya...!

 





Kuch Mohabbat ka Nasha pehle ham ko Tha 

Faraz

Dil jo Toota to Nashe se Mohabbat Ho gai....!

 

 

 

 

 

Milnay ki gharz ho to chalay aatay hain apnon ki tarha 


'Faraz'

 

Dil bhar jaye to jawaab dena bhi gawaara nahi kartay...!!
 
 
 
 



♥ Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain ♥

So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain...


Suna hai rabt hai us ko kharaab halon se

So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain...


Suna hai dard ki gahak hain chashm-e nazuk us ki

So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain...

Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf
 
So ham bhi mojazay apnay hunar ke dekhte hain...

Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain
 
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain...

Suna hai raat use chand takta rehta hai
 
Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain...

Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain
 
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain...

Suna hai din ko usay titliyan satati hain
 
Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhte hain...

Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki
 
Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain...

Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai
 
So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhte hain...

Suna hai us ke labon se gulab jalate hain
 
So ham bahar par ilzaam dhar ke dekhte hain...

Suna hai aaina tamasal hai jabin us ka
 
Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhte hain...

Suna hai jab se hamail hain us ki gardan main
 
Mizaj aur hi lal-o gauhar ke dekhte hain...

Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main
 
Palang zawaiya us ki kamar ke dekhte hain...

Suna hai us ke badan ke tarash aisay hain
 
Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhte hain...

Woh sarvqad hai magar begul-e muraad nahin
 
Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhte hain...

Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka
 
So rahravaan-e tamannaa bhi dar ke dekhte hain...

Suna hai us ke shabistan se mutasil hai behisht
 
Makin udhar ke bhi jalway idhar ke dekhte hain...

Rukay tu gardishain us ka tawaf karti hain
 
Chalay to us ko zamanay theher ke dekhte hain...

Kisay naseeb ke be parahan usay dekhay
 
Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke dekhte hain...

Kahaniyan hi sahi sab mubalaghay hi sahi
 
Agar woh khawb hai tabeer kar ke dekhte hain...

Ab us ke sheher main thehrain ke kooch kar jayan
 
Faraz aao sitaray safar ke dekhte hain....

1 comment: